Namskar Dotson,
Aaj dinank 25february ko mere bete Arsh tiwari ka janmdin hai. Aaj hi ke din 2008 men yah phool mere aangan men Khila tha. Main Bahut khush thi. parantu aachanak 16julai 2014 ko samay ne Aisa karwat liya ki pal bhar men sab kuchh badal gaya.mere chand men dag lag gaya. Lekin maata aur pita ne haar nhi mani.Janmdin par kavita |
Aab sab anukul ho rha hai. Doston mere
Putr ko aap sabhi ke aashirvad ki ati aavashyakta hai. Atah aap sabhi ki Duwa v aashirvad apekshit hai. Kripya mere putr ko aasirvad se anugrihit Karen. Aur aap sabhi apni tippani aavashy den.
जन्मदिन पर कविता
उच्चाईयों के शिखर पर
तेरा नाम हो ।
तेरी हर कदम पर
जमाने का सलाम हो।
हिम्मत से कठिनाइयों का
सामना करना
मेरी दुआ है कि
समय भी तेरा गुलाम हो।
जीवन में सूरज रोशनी ले आया।
ची ची के साथ चिड़ियों ने गीत गाया।
फूलों ने कलियों से कहा
बार बार दिन ये आये तुम्हें
ढेरों बधाई मेरे लाल।
युग युग जियो मेरे लल्ला
छू न सके तुझे कभी काल।
यूँही महफ़िल सजती रहे
मेरी खुशियों के आँगन में।
जन्मदिन तिथि मनता रहे
सदा इस रंग भरे फागुन में।
माँ के दिल का टुकडा है तू
सारी लेती बलैया।
सुख से पार हो जाए तेरी
ये जीवन की नईया।
चोट अगर तुझको लग जाये
दर्द मुझे होता है।
आँख कोई तुझको दिखलाये
कष्ट मुझे होता है।
यही कामना सदा करूँगी
खुशियों से दामन भरदें।
हे भगवान बस यही अरज है
विनती मेरी इतनी सुनले।
स्वस्थ तन में स्वस्थ मन
हे प्रभो, मेरे लाल का रखना।
अर्पण सारा जीवन है मेरा
मेरे लल्ला को शरण में रखना।
धन्यवाद पाठकों,
रचना-कृष्णावती कुमारी
Poem in English
Uchchaiyon ke shikhar par
Tera naam ho.
Teri har kadam par
Jamane ka salam ho.
Himmat se kathinaiyon ka
Samna karna.
Meri duwa hai ki
Samay bhi tera gulaam ho.
Jivan men suraj roshni le aaya
Chi Chi ke saath chidiyon ne geet gaya.
Phoolon ne kaliyon se kaha
Aaj Arsh ka janmdin aaya.
Baar baar din ye aaye
Tumhen dheron badhai mere laal.
Yug yug jiyo mere lalla
Chhu na sake tujhe kabhi Kaal.
Yun hi mehfil sajti rahen
Meri khushiyon ke aangan men
Janmtithi manta rahe
Is rang bhare fagun men.
Maan ke dil ka tukda hai tu
Sari leti balaiya.
Sukh se Paar ho jaye teri
Is jivan ki naiya.
Chot agar tujhko lagta hai
Dard mujhe hota hai.
Aankh koi tujhko dikhlaye
Kast mujhe hota hai.
Yahi kamna sada karungi.
Khushiyon se daman bharden.
He bhagwan bas yahi araj hai
Vinti meri itni sunlen.
Swasth tan men swasth man
He prabhu mere laal ka rakhna.
Arpan sara jivan hai mera
Mere lala ko sharan men rakhna.
Janmdin par Kavita
Uchchaiyon ke shikhar par
Tera naam ho.
Teri har kadam par
Jamane ka salam ho.
Himmat se kathinaiyon ka
Samna karna.
Meri duwa hai ki
Samay bhi tera gulaam ho.
janmdin par maa ka aashish bhara kavita |
Jivan men suraj roshni le aaya
Chi Chi ke saath chidiyon ne geet gaya.
Phoolon ne kaliyon se kaha
Aaj Arsh ka janmdin aaya.
Baar baar din ye aaye
Tumhen dheron badhai mere laal.
Yug yug jiyo mere lalla
Chhu na sake tujhe kabhi Kaal.
Yun hi mehfil sajti rahen
Meri khushiyon ke aangan men
Janmtithi manta rahe
Is rang bhare fagun men.
Maan ke dil ka tukda hai tu
Sari leti balaiya.
Sukh se Paar ho jaye teri
Is jivan ki naiya.
Chot agar tujhko lagta hai
Dard mujhe hota hai.
Aankh koi tujhko dikhlaye
Kast mujhe hota hai.
Yahi kamna sada karungi.
Khushiyon se daman bharden.
He bhagwan bas yahi araj hai
Vinti meri itni sunlen.
Swasth tan men swasth man
He prabhu mere laal ka rakhna.
Arpan sara jivan hai mera
Mere lala ko sharan men rakhna.
Thanks. Dil ok chhu gya.
जवाब देंहटाएं