JANG pati se pareshan patni ka antim nirnay
Jang abhi Baki hai yaron.
Jang abhi Baki hai.
Baharwalon se nipatna aasan hai.
Gharwalo se kaise nipten.
Bahar walo se ladna aasan hai.
Ghar walo se kaise laden
Bat abhi Baki hai
Jang...............,
Umar pchas ki ho gai.
Bachche bhi hai,
Waqt se jujhti,
Hatash Hun main,
Log Kya khenge?
Prashn chinh hai.
Prantu ,ab roj roj ke
Chik chik se ub chunki Hun mai,
Apno se laden to kaise laden
Aas abhi Baki hai.
Jang abhi..........
.
Imthan me hmesha pas hui
Mehnat rang lai.
Aaj apne pairon pr khadi hoon
Jimmedariyan liye adi hoon
Kabhi uf tak nhin Kiya .
Bs hmesha muskurate rahin hoon
Fir bhi is purush Pradhan desh men
Main main hoon tu tu hai
Sunte rhi hoo bhut huwa,
ab na koi behas hogi
Ab na koi tark hoga ,
ab na koi shart hogi.
Mere raste alag honge.
Tumre raste bhi alag honge.
Chhat bhi ek hoga par room alag honge.
Quki Jang abhi Baki h yaron.
Jang abhi ........
Shayad waqt ke sath samay badal jayega
Waqt ke sath samay gujar jayega
Har pal intjar Kiya
Prantu o din ab nhi aaiyega.
Ab sirf Jang hi Jang hain
B's jivan ke aakhiri pal Baki hain
Aakhiri pal Baki hai
Aakhiri pal Baki hai
Rachana___Krishnawati Kumari
Plz comment below
Plz comment below
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें